Posts

Showing posts with the label Namaz )

Namaz ke 13 Faraiz: In ke Baghair Namaz Nahi Hoti

Image
  Namaz ke 13 Faraiz Namaz ke kul 13 faraiz hain. In mein se 7 namaz se pehle hain (jinhein sharaait kehte hain) aur 6 namaz ke andar hain (jinhein arkan kehte hain). 1. Namaz se pehle ke 7 Faraiz (Sharaait): Badan ka pak hona: Jism ka napaaki se saaf hona. Kapron ka pak hona: Namaz ke liye pehne huye libaas ka pak hona. Jagah ka pak hona: Jis jagah namaz parhni hai, us jagah ka pak hona. Satar-e-Aurat: Jism ka wo hissa jo chhupana farz hai, us ka dhapa hona. Waqt: Jis namaz ka waqt ho, usi waqt mein parhna. Qibla rukh hona: Khana-e-Kaaba ki taraf rukh kar ke kharay hona. Niyat: Dil mein us namaz ka pakka irada karna. 2. Namaz ke andar ke 6 Faraiz (Arkan): Takbeer-e-Tahreema: Shuru mein "Allahu Akbar" kehna. Qiyam: Seedha khara hona (agar quwwat ho). Qira'at: Quran-e-Pak ki tilawat karna. Ruku: Namaz mein jhukna. Sajda: Allah ke huzoor do martaba peshani zameen par rakhna. Qaada-e-Akheera: Namaz ke aakhir mein itni der baithna ke "Attahiyat" poori...